apna pata na apni KHabar chhoD jaunga
be-samtiyon ki gard-e-safar chhoD jaunga
tujh se agar bichhaD bhi gaya main to yaad rakh
chehre pe tere apni nazar chhoD jaunga
gham duriyon ka dur na ho paega kabhi
wo apni qurbaton ka asar chhoD jaunga
guzregi raat raat mere hi KHayal mein
tere liye main sirf sahar chhoD jaunga
jaise ki shama-dan mein bujh jae koi shama
bas yun hi apne jism ka ghar chhoD jaunga
main tujh ko jit kar bhi kahan jit paunga
lekin mohabbaton ka hunar chhoD jaunga
aansu milenge mere na phir tere qahqahe
suni har ek rahguzar chhoD jaunga
sansar mein akela tujhe agle janm tak
hai chhoDna muhaal magar chhoD jaunga
us par ja sakengi to yaaden hi jaengi
jo kuchh idhar mila hai udhar chhoD jaunga
gham hoga sab ko aur juda hoga sab ka gham
kya jaane kitne dida-e-tar chhoD jaunga
bas tum hi pa sakoge kuredoge tum agar
main apni rakh mein bhi sharar chhoD jaunga
kuchh der ko nigah Thahar jaegi zarur
afsane mein ek aisa khanDar chhoD jaunga
koi KHayal tak bhi na chhu paega mujhe
ye chaaron samt aaThon pahar chhoD jaunga
Ghazal
Apna pata na apni KHabar chhoD jaunga
Krishn Bihari Noor