اردو हिंदी
Apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise | Shaahi Shayari
apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise

Ghazal

Apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise

Wahid Premi

;

apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise
wo zindagi hai aag ka dariya kahen jise

har-chand shahr shahr hai jashn-e-sahar magar
wo raushni kahan hai sawera kahen jise

wo rang-e-fasl-e-gul hai ki patjhaD bhi mat khae
wo surat-e-chaman hai ki sahra kahin jise

jo chaaragar the wo bhi hue qatil-e-hayat
ab kaun hai ki apna masiha kahen jise

diwar-o-dar pe sabt hain naqsh-o-nigar-e-yar
apna makan hai ki ajanta kahen jise

is tarah tabnak hai wo sajda-gah-e-shauq
jaan-e-haram ki jaan-e-kalisa kahen jise

'wahid' tumhein jo KHwahish-e-nam-o-numud ho
wo shairi karo ki muamma kahen jise