apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise
wo zindagi hai aag ka dariya kahen jise
har-chand shahr shahr hai jashn-e-sahar magar
wo raushni kahan hai sawera kahen jise
jo chaaragar the wo bhi hue qatil-e-hayat
ab kaun hai ki apna masiha kahen jise
diwar-o-dar pe sabt hain naqsh-o-nigar-e-yar
apna makan hai ki ajanta kahen jise
is tarah tabnak hai wo sajda-gah-e-shauq
jaan-e-haram ki jaan-e-kalisa kahen jise
'wahid' tumhein jo KHwahish-e-nam-o-numud ho
wo shairi karo ki muamma kahen jise
Ghazal
Apna nafas nafas hai ki shoala kahen jise
Wahid Premi