apna KHaliq KHud hi tha mera KHuda koi na tha
is jahan mein mujh se pahle dusra koi na tha
raat-bhar chalta raha tha chand mere sath sath
dasht mein us ka kahin bhi naqsh-e-pa koi na tha
fasle hi fasle the manzilen hi manzilen
ham-safar koi na tha aur rahnuma koi na tha
wo payambar tha khaDa tha ek gali ke moD par
ajnabi basti mein us ko jaanta koi na tha
dur tak phaili hui thin dard ki tanhaiyan
do dilon ke darmiyan jab fasla koi na tha
kis qadar sunsan thi us shahr-e-ulfat ki gali
band the sare dariche jhankta koi na tha
gunjti thin jab tumhaari yaad ki KHamoshiyan
dil ke virane nagar mein jagta koi na tha
jism-o-jaan ki qaid mein rahna paDa ek umr tak
bach nikalne ka kahin bhi rasta koi na tha
Ghazal
Apna Khaaliq KHud hi tha mera KHuda koi na tha
Shola Haspanvi