apna KHaka lagta hun
ek tamasha lagta hun
aainon ko zang laga
ab main kaisa lagta hun
ab main koi shaKHs nahin
us ka saya lagta hun
sare rishte tishna hain
kya main dariya lagta hun
us se gale mil kar KHud ko
tanha tanha lagta hun
KHud ko main sab aankhon mein
dhundla dhundla lagta hun
main har lamha is ghar se
jaane wala lagta hun
kya hue wo sab log ki main
suna suna lagta hun
maslahat is mein kya hai meri
TuTa phuTa lagta hun
kya tum ko is haal mein bhi
main duniya ka lagta hun
kab ka rogi hun waise
shahr-e-masiha lagta hun
mera talu tar kar do
sach-much pyasa lagta hun
mujh se kama lo kuchh paise
zinda murda lagta hun
main ne sahe hain makr apne
ab bechaara lagta hun
Ghazal
Apna KHaka lagta hun
Jaun Eliya