apna jaisa bhi haal rakkha hai
tere gham ko nihaal rakkha hai
shaeri kya hai hum ne jine ka
ek rasta nikal rakkha hai
hum ne ghar ki salamti ke liye
KHud ko ghar se nikal rakkha hai
mere andar jo sar-phira hai use
main ne zindan mein Dal rakkha hai
ek chehra hai hum ne jis ke liye
aainon ka KHayal rakha hai
is baras ka bhi nam hum ne to
teri yaadon ka sal rakkha hai
girte girte bhi hum ne hathon par
aasman ko sambhaal rakkha hai
kya KHabar shishagar ne kyun 'azhar'
mere shishe mein baal rakkha hai
Ghazal
Apna jaisa bhi haal rakkha hai
Azhar Adeeb