apna jab bojh meri jaan uThana paD jae
dusron ka na kuchh ehsan uThana paD jae
is qadar aish-e-mohabbat pe na ho KHush ki tujhe
dusre ishq mein nuqsan uThana paD jae
is sarae mein na phailaiye ajza-e-hayat
jaane kis waqt ye saman uThana paD jae
yun na ho bol paDun main teri KHamoshi par
aur tujhe bazm se mehman uThana paD jae
phir badal jae na is wada-e-imroz se tu
aur hamein dusra tufan uThana paD jae
kya tamasha ho sar-e-kucha-e-dildar agar
mere jaisa koi nadan uThana paD jae
main to mar jaun usi waqt agar mujh ko 'jamal'
ishq se hath kisi aan uThana paD jae
Ghazal
Apna jab bojh meri jaan uThana paD jae
Jamal Ehsani