apna hi shikwa apna gila hai
ahl-e-wafa ko kya ho gaya hai
hum jaise sarkash bhi ro diye hain
ab ke kuchh aisa gham aa paDa hai
dil ka chaman hai murjha na jae
ye aansuon se sincha gaya hai
han fasl-e-gul mein rindon ko saqi
apna lahu bhi pina paDa hai
ye dard yun bhi tha jaan-lewa
kuchh aur bhi ab ke baDhta chala hai
bas ek wada kam-baKHt wo bhi
mar mar ke jina sikhla gaya hai
jurm-e-mohabbat mujh tak hi rahta
un ka bhi daman uljha hua hai
ek umr guzri hai rah takte
jine ki shayad ye bhi saza hai
dil sard ho kar hi rah na jae
ab ke kuchh aisi ThanDi hawa hai
Ghazal
Apna hi shikwa apna gila hai
Khalilur Rahman Azmi