اردو हिंदी
Apna hi kirdar rad karta hua | Shaahi Shayari
apna hi kirdar rad karta hua

Ghazal

Apna hi kirdar rad karta hua

Ishaq Veerdag

;

apna hi kirdar rad karta hua
main kahani mustanad karta hua

ek naya naqsha bana laya hun main
shahr ko sahra ki had karta hua

sharh dil ki likh raha hun main nai
har purani soch rad karta hua

ishq likkhega nae erab ab
mere dil ko shadd-o-mad karta hua

is tarah se mustanad hota gaya
ek qalandar KHud ko rad karta hua

aur phir diwar mein dar ho gaya
ishq yun meri madad karta hua