apna girya kis ke kanon tak jata hai
gahe gahe apni jaanib shak jata hai
pakka rasta kachchi saDak aur phir pagDanDi
jaise koi chalte chalte thak jata hai
yaron aur pyaron ke hote hue bhi koi
aata hai aur sara shahr mahak jata hai
umr kaTi hai shiryanon ke kaTte kaTte
maula kitna gahra ya nawak jata hai
koi to hai jo is hanste baste manzar mein
chupke se aawaz mein aansu rakh jata hai
chup rahte hain log raza ki chadar oDhe
jaise barf se jhil ka sina Dhak jata hai
Ghazal
Apna girya kis ke kanon tak jata hai
Saud Usmani