apna ghar bhi koi aaseb ka ghar lagta hai
band darwaza jo khul jae to Dar lagta hai
baad muddat ke mulaqat hui hai us se
farq itna hai ki ab ahl-e-nazar lagta hai
is zamane mein bhi kuchh log hain fan ke ustad
kaam koi bhi karen dast-e-hunar lagta hai
jis ne ji chaha use luT ke pamal kiya
apna dil bhi hamein dilli sa nagar lagta hai
apni kuchh baat hai ahbab mein warna ai shams'
sab dhuan hai wo jahan koi shajar lagta hai
Ghazal
Apna ghar bhi koi aaseb ka ghar lagta hai
Shams Tabrezi