apna ejaz dikha de saqi
aag se aag bujha de saqi
naqsh-e-bedad miTa de saqi
hum ko aazad bana de saqi
wo uThin kali ghaTaen tauba
ab to pine ki raza de saqi
jis se soe hue dil chaunk uThen
naghma ek aisa suna de saqi
tujh ko mustaqbil-e-zarrin ki qasam
pichhli baaton ko bhula de saqi
sadr-e-mai-KHana banaya tha kabhi
ab jahan chahe biTha de saqi
wo jo tasbih liye hai us ko
mere aage se uTha de saqi
nashsha-e-fikr abhi baqi hai
ek jam aur uTha de saqi
qasr-e-auham ko Dhane ke liye
sara mai-KHana lunDha de saqi
sab jise kahte hain 'wamiq' 'wamiq'
hum ko bhi us se mila de saqi
Ghazal
Apna ejaz dikha de saqi
Wamiq Jaunpuri