apna duniya se safar Thahra hai
gosha-e-qabr mein ghar Thahra hai
hijr mein zist ko kahte hain maut
nafa ka nam zarar Thahra hai
dil mera us ka taraf-dar hua
jo idhar tha wo udhar Thahra hai
aur andher hua chahta hai
surma manzur-e-nazar Thahra hai
likh hawa-o-hawas-e-wasl ai dil
qasid-e-baad-e-saba Thahra hai
dekhen donon mein hawa kis ki bandhe
abr ai dida-e-tar Thahra hai
ghar jo us mah ka bana hai ai 'mehr'
dil mera mah-e-nigar Thahra hai
Ghazal
Apna duniya se safar Thahra hai
Syed Agha Ali Mehr