apna dukh apna hai pyare ghair ko kyun uljhaoge
apne dukh mein pagal ho kar ab kis ko samjhaoge
dard ke sahra mein lakhon umid ke lashe galte hain
ek zara se daman mein tum kis kis ko kafnaoge
toD bhi do ehsas ke rishte chhoD bhi do dukh apnane
ro ro ke jiwan kaToge ro ro ke mar jaoge
raaz ki baat ko KHamoshi ka zahr samajh kar pi jaana
kahne se bhi rah na sakoge kah kar bhi pachhtaoge
aaj yahan pardon se udhar uryani hi uryani hai
tum bhi nange ho kar nacho yun kab tak sharmaoge
Ghazal
Apna dukh apna hai pyare ghair ko kyun uljhaoge
Akhtar Imam Rizvi