apna daman dekh kar ghabra gae
KHun ke chhinTe kahan tak aa gae
bhul thi apni kisi qatil ko hum
dewta samjhe the dhoka kha gae
har-qadam par sath hain ruswaiyan
hum to apne aap se sharma gae
hum chale the un ke aansu ponchhne
apni aankhon mein bhi aansu aa gae
sath un ke meri duniya bhi gai
aah wo duniya se meri kya gae
'naqsh' koi hum bhi jaen chhoD kar
jaise 'mir'-o-'ghaalib'-o-'sauda' gae
Ghazal
Apna daman dekh kar ghabra gae
Naqsh Layalpuri