apna chhoDa hua ghar yaad aaya
KHuld mein KHuld-nazar yaad aaya
kitni sadiyon ki thakan hai jaan par
ek lamhe ka safar yaad aaya
jis ke sae ne jalaya mujh ko
phir wo sarsabz shajar yaad aaya
hath mein chand ki miTTi le kar
kitne firqon ka safar yaad aaya
hum hue apni nazar mein jhuTe
us ka paiman-e-nazar yaad aaya
us se ab KHwab ka rishta bhi ghalat
sar jhaTak de wo agar yaad aaya
kya na sabit thi meri KHush-hunari
kyun tera husn-e-nazar yaad aaya
phir rag-o-pai ki faza hai bojhal
phir bagulon ka safar yaad aaya
muddaton jis ki parastish ki thi
phir wo aabaad khanDar yaad aaya
the unhi aankhon mein sapne kitne
apna aaghaz-e-safar yaad aaya
raat yun ghas ki KHushbu lipTi
nind hi aai na ghar yaad aaya
jam gae mil ke patthar ki tarah
kya sar-e-rahguzar yaad aaya
phir hai 'shahin' ghazal raaz-e-chaman
phir koi soKHta-par yaad aaya
Ghazal
Apna chhoDa hua ghar yaad aaya
Wali Alam Shaheen