apna bhi bojh mujh se kahan Thik se uTha
ye sara masala meri tashkik se uTha
wo haal tha ki bas mera uThna muhaal tha
lekin phir ek KHwab ki tahrik se uTha
kandhon pe tere aabru-mandi ka bojh hai
ye rah-e-zindagi hai qadam Thik se uTha
'kashif' husain KHalq ke uThne ki der thi
ek aaftab gosha-e-tarik se uTha
'kashif' husain mujh se mujhe dur le gaya
kya shor tha ki jo mere nazdik se uTha
Ghazal
Apna bhi bojh mujhse kahan Thik se uTha
Kashif Husain Ghair