اردو हिंदी
Apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main | Shaahi Shayari
apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main

Ghazal

Apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main

Himayat Ali Shayar

;

apna andaz-e-junun sab se juda rakhta hun main
chaak-e-dil chaak-e-gareban se siwa rakhta hun main

ghaznawi hun aur giraftar-e-KHam-e-zulf-e-ayaz
but-shikan hun aur dil mein but-kada rakhta hun main

hai KHud apni aag se har paikar-e-gul tabnak
le hawa ki zad pe miTTi ka diya rakhta hun main

main ki apni qabr mein bhi zinda hun ghar ki tarah
har kafan ko apne gird ehram sa rakhta hun main

dasht-e-ghurbat mein hun aawara misal-e-gard-baad
koi manzil hai na koi naqsh-e-pa rakhta hun main

mera saya bhi nahin mera ujale ke baghair
aur ujale ka tasawwur KHwab sa rakhta hun main