ho raha hai TukDe TukDe dil mere gham-KHwar ka
hai mere zaKHm-e-jigar mein kaT tegh-e-yar ka
shor hai ghul hai jahan mein murdan-e-dushwar ka
ek chalta war hai tegh-e-nigah-e-yar ka
naghma dilkash hai dushman andalib-e-zar ka
hai qafas mein band hona kholna minqar ka
mast kuchh aisa hun chashm-e-nim-e-mast-e-yar ka
zarf KHali jaanta hun saghar-e-sarshaar ka
kya kahun kya haal hai mujh na-tawan-o-zar ka
hun nigah-e-wapsin apni dil-e-bimar ka
aasman phirta hai hasb-e-mudda-e-muddai
rah par lana ghazab hai aise kaj-raftar ka
bal be-bad-KHui mizaj-e-yar mein sau bal paDe
ek bal nikla jo tar-e-gesu-e-KHam-dar ka
dast-e-saqi par lagae aankh rahta hai mudam
jam-e-mai hai dida-e-hasrat kisi mai-KHwar ka
kis qadar bashshash hai asrar se KHali nahin
rang mera uD gaya munh dekh kar sofar ka
main giraftar-e-wafa hun chhuT ke jaunga kahan
baal bandha chor hun har tar-e-zulf-e-yar ka
koi ek gardish to ho aisi bhi han ai chashm-e-yar
shaiKH puchhe mujh se rasta KHana-e-KHummar ka
wah re qismat ki wo mere muqaddar mein paDa
aah ne jo bal nikala charKH-e-kaj-raftar ka
le chalo waiz ko hathon-hath uThae mai-kasho
pasban chal kar bana do KHana-e-KHummar ka
jaan sunne walon ki waiz labon par aa gai
wah kya kahna hai hazrat aap ki guftar ka
hai jo uftadon se kuchh nafrat to nafrat hi sahi
kyun zamin par gir paDa saya teri diwar ka
shakl-e-marham dekh kar Darta hai mera zaKHm-e-dil
khol kar aankh apni dekha hai jo munh sofar ka
nala mere lab pe aata hai jo sau sau naz se
koi partaw le uDa shayad teri raftar ka
ye to zahir hai ki wasl un ka kahan aur hum kahan
lekin is paigham mein kuchh lutf hai takrar ka
dil ko le ja mujh se ya to aap le ya banT de
par ye hissa hai teri gesu ke ek ek tar ka
al-aman us burrish-e-tegh-e-nazar se al-aman
manti hai barq bhi loha teri talwar ka
hath sambhla rakhiyo ai mashshata-e-jadu-taraaz
ek jahan-e-dil hai basta turra-e-tarrar ka
hun to diwana wale hushyari-e-matlab to dekh
sar bhi phoDa DhunD kar patthar teri diwar ka
kuchh idhar se arz matlab aur udhar se kuchh nahin
ek judagana maza hai wasl mein takrar ka
kitna gustaKHi se khincha hai tujhe aaghosh mein
main gale ka haar hun tere gale ke haar ka
kyun nahin girta mere aafat-zadon par hae hae
aasman bhi hai magar saya teri diwar ka
chhu gai kafir hawa kis ki nigah-e-garm se
phul kumlaya hua hai kuchh gul-e-ruKHsar ka
milti hai aaKHir ko kuchh kaifiyat-e-soz-o-gudaz
saiqa hissa hai pahla talib-e-didar ka
ek jalwa par chamak uThti hai sab aqlim-e-ishq
kaun aalam hai hamare dida-e-bedar ka
aasman rakhta hai aankhen mehr-o-mah se us se puchh
kaun aalam hai hamare dida-e-bedar ka
husn mein KHud-raftagi hai to nahin mane hijab
bu-e-gul ko phandna kya bagh ki diwar ka
wo hi apni chaal hai koi mare koi jiye
le uDe sara chalan tum charKH-e-kaj-raftar ka
naKHun-e-shamshir-e-qatil ko dua dete hain hum
uqda khola KHub 'anwar' murdan-e-dushwar ka
Ghazal
Ho raha hai TukDe TukDe dil mere gham-KHwar ka
Anwar Dehlvi