anmol sahi nayab sahi be-dam-o-diram bik jate hain
bas pyar hamari qimat hai mil jae to hum bik jate hain
sikkon ki chamak pe girte hue dekha hai shaiKH o barhaman ko
phir mere khanDar ki qimat kya jab dair o haram bik jate hain
kya sharm-e-KHudi kya pas-e-haya ghurbat ki andheri raaton mein
kitne hi butan-e-zohra-jabin ba-dida-e-nam bik jate hain
ye hirs-o-hawa ki manzil hai ai rah-rawo hushyar zara
jab hath rupahle baDhte hain rahbar ke qadam bik jate hain
wo sahib-e-ilm-o-hikmat hon ya paikar-e-aql-o-danai
ek mere dil-e-nadan ke siwa sab teri qasam bik jate hain
ye shahr hai shahr-e-zardari kya hoga 'shamim' anjam tera
yan zehn KHarida jata hai yan ahl-e-qalam bik jate hain
Ghazal
Anmol sahi nayab sahi be-dam-o-diram bik jate hain
Shamim Karhani