anjuman-saz-e-aish tu hai yahan
aur phir kis ki aarzu hai yahan
man-o-tu ki nahin hai gunjaish
harf-e-wahdat ki guftugu hai yahan
kaam kya shama ka hai le jao
dilbar-e-aftab-ru hai yahan
dil mein apne nahin kuchh aur talash
ek teri hi justuju hai yahan
dast-bosi ko teri ai saqi
muntazir saghar aur subu hai yahan
aa shitabi ki hai makan-e-latif
sair-e-gulzar o aab-ju hai yahan
kya tere ghar mein raat tha 'bedar'
us gul-andam ki si bu hai yahan
Ghazal
Anjuman-saz-e-aish tu hai yahan
Meer Mohammadi Bedar