anjuman-e-bahaar mein naz-e-butan ki baat kar
lutf-e-KHiram saqi-o-sarw-e-rawan ki baat kar
shaiKH-e-haram ka zikr kya dekh umanD chali ghaTa
saqi-e-nau-bahaar ki pir-e-mughan ki baat kar
zohd-o-wara ka wasta ju-e-tahur ki qasam
aaj kisi ke dida-e-baada-fishan ki baat kar
tauba ki aaj fatiha paDhne chale hain baada-kash
abr siyah-posh hai ratl-s-giran ki baat kar

Ghazal
Anjuman-e-bahaar mein naz-e-butan ki baat kar
Prem Shankar Goila Farhat