'anjum' tumhein ulfat abhi karna nahin aata
har ek pe marte ho pa marna nahin aata
aalam ke hasin bharte hain aankhon mein tumhaari
dam ishq ka bharte ho pa bharna nahin aata
hum jaan hi se apni guzar jaen to behtar
haT-darmi se un ko jo guzarna nahin aata
lo nam-e-KHuda hum se banate hain wo baaten
jin ko ki abhi baat bhi karna nahin aata
kahte ho meri lash pe mara hai ye kis ka
kyun ji yahi kahte the mukarna nahin aata
bikhre hue baalon mein bhi hain lakh adaen
alhaD ko abhi mere sanwarna nahin aata
kya wasl ki shab kaTi hai fiqre hi bata kar
sach hai ki tumhein baat katarna nahin aata
aisa tu hamein pis ki hon aankhon ka surma
ai charKH tujhe jaur bhi karna nahin aata
haq ye hai ki anjum tera dil Thahre to kyun-kar
sine pe unhen hath bhi dharna nahin aata
Ghazal
Anjum tumhein ulfat abhi karna nahin aata
Mirza Asman Jah Anjum