'anjum' pe jo guzar gai us ka bhala hisab kya
puchhe koi sawal kya laenge hum jawab kya
KHun-e-dil-o-jigar se hai husn-e-KHayal husn-e-fan
is ke baghair sher kya majmua kya kitab kya
tera hi nam le liya waqt-e-ishaat-e-kalam
is ke alawa aur hum DhunDte intisab kya
teri hi be-ruKHi se to TuTa hai dil abhi abhi
ab iltifat-e-be-mahl ho sake kaamyab kya
hum to chaman chaman gae dil na shagufta ho saka
nasrin-o-nastaran hai kya lala hai kya gulab kya
tum ko bhi ranj isi se hai hum bhi kuchh is se KHush nahin
aur KHarab is se bhi hoga dil-e-KHarab kya
'anjum' ne aankh khol ke dard-o-alam jo dekhe hain
auron ne KHwab mein agar dekhe to aise KHwab kya
Ghazal
Anjum pe jo guzar gai us ka bhala hisab kya
Sufia Anjum Taj