anjum-o-mehr-o-gul-o-barg-o-saba kuchh bhi nahin
KHub dekha ba-KHuda ghair-e-KHuda kuchh bhi nahin
wahshat-o-masti-o-hairat ke siwa kuchh bhi nahin
hai jise us ka pata apna pata kuchh bhi nahin
hasti-e-alam-e-hushiyar ho ki ho apna wajud
sab kuchh ek wahm-e-musalsal ke siwa kuchh bhi nahin
ishq to zinda-e-jawed bana deta hai
ishq ke bab mein mafhum-e-fana kuchh bhi nahin
kab se hai kaun hai kyun hai wo kahan hai kya hai
zat-e-be-chun mein ye sab chun-o-chara kuchh bhi nahin
aur sab kuchh ho zamane ko mubarak ai 'dil'
yan to daman mein mohammad ke siwa kuchh bhi nahin
Ghazal
Anjum-o-mehr-o-gul-o-barg-o-saba kuchh bhi nahin
Dil Ayubi