'anjum' agar nahin dar-e-dildar tak pahunch
ho jae kash rauzan-e-diwar tak pahunch
jata hai koi kabe ko aur koi su-e-dair
mujh rind ki hai KHana-e-KHummar tak pahunch
nale ki na-rasai ne aajiz kiya hamein
ho jati warna aap ki sarkar tak pahunch
ye kya hai baiTha baaten banata hai dur se
isa agar bana hai to bimar tak pahunch
le jaegi baha ke kabhi sail-e-chashm-e-tar
'anjum' kabhi to hogi dar-e-yar tak pahunch
Ghazal
Anjum agar nahin dar-e-dildar tak pahunch
Mirza Asman Jah Anjum