anjaane KHwab ki KHatir kyun chain ganwaya
kab waqt ka panchhi Thera kab saya hath mein aaya
ek nur ki chadar simTi be-jaan faza dhundlai
ghar aae ghanere baadal ya chand gahan mein aaya
aankhon se nashili shab ki dhoti rahi shabnam kajal
har samt syahi phaili har samt andhera chhaya
jo baat labon par aai wo baat bani afsana
ek git ko is duniya ne kitni hi dhunon mein gaya
dil dard se bhar bhar aaya palkon pe na chamke aansu
aankhon ne samundar bhar ke qatre ke liye tarsaya
aise bhi zamane guzre din soya raaten jagin
ehsas ka rangin aanchal sannaTon mein lahraya
KHushiyon ko to chhoDa hum ne ek khel samajh kar 'anjum'
jis gham ko rag-e-jaan samjha us gham ne hamein Thukraya
Ghazal
Anjaane KHwab ki KHatir kyun chain ganwaya
Anjum Ansari