اردو हिंदी
Anjam-e-mohabbat se main begana nahin hun | Shaahi Shayari
anjam-e-mohabbat se main begana nahin hun

Ghazal

Anjam-e-mohabbat se main begana nahin hun

Manzar Lakhnavi

;

anjam-e-mohabbat se main begana nahin hun
diwana bana phirta hun diwana nahin hun

dam bhar mein jo ho KHatm wo afsana nahin hun
insan hun insan main parwana nahin hun

saqi teri aankhon ko salamat rakkhe allah
ab tak to main sharminda-e-paimana nahin hun

ho bar na KHatir pe to naseh kahun ek baat
samjha len jise aap wo diwana nahin hun

barbaadiyon ka gham nahin gham hai to ye gham hai
miT kar bhi main KHak-e-dar-e-jaanana nahin hun

tauba tere daman pe junun-KHez nigahen
hun to magar ab itna bhi diwana nahin hun

sab kuchh mere saqi ne diya hai mujhe 'manzar'
mohtaj-e-mai-o-shisha-o-paimana nahin hun