anis-e-jaan hain abhi tak nishaniyan us ki
bhulae bhul na pae kahaniyan us ki
har ek lahje mein shamil hai zaiqa us ka
sada sada mein hain gauhar-fishaniyan us ki
kisi ko mar gaya is ka tund-o-tez mizaj
hamein to mar gain qadr-daniyan us ki
zara si baat pe us ka simaT simaT jaana
wo baat baat pe nazran jhukaniyan us ki
kiye hain jab bhi taqaze nae nae us se
suni hain phir wahi baatan puraniyan us ki
kisi ki baat pe us ka mahak mahak uThna
wo mere zikr pe kuchh bad-gumaniyan us ki
nazar mein husn kisi ka 'hasan' samata nahin
ki hum ne dekhi hain uThti jawaniyan us ki
Ghazal
Anis-e-jaan hain abhi tak nishaniyan uski
Hasan Rizvi