angDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
dekha jo mujh ko chhoD diye muskura ke hath
she couldn't stretch her limbs, with all her ample grace
on seeing me she smiled and kept, her modesty in place
be-saKHta nigahen jo aapas mein mil gain
kya munh par us ne rakh liye aankhen chura ke hath
inadvertently, when, our eyes did chance to meet
she looked away from me, and then, covered up her face
ye bhi naya sitam hai hina to lagaen ghair
aur us ki dad chahen wo mujh ko dikha ke hath
Tis a novel torture, henna, my rival applies
while she waits for compliments from me- so in my face!!
be-iKHtiyar ho ke jo main panw par gira
ThoDi ke niche us ne dhara muskura ke hath
---
---
gar dil ko bas mein paen to naseh teri sunen
apni to marg-o-zist hai us bewafa ke hath
---
---
wo zanuon mein sina chhupana simaT ke hae
aur phir sambhaalna wo dupaTTa chhuDa ke hath
she doubles up to hide her bosom- such a pity sigh!
then straightens up again to get her scarf back into place
qasid tere bayan se dil aisa Thahar gaya
goya kisi ne rakh diya sine pe aa ke hath
---
---
ai dil kuchh aur baat ki raghbat na de mujhe
sunni paDengi saikDon us ko laga ke hath
---
---
wo kuchh kisi ka kah ke satana sada mujhe
wo khinch lena parde se apna dikha ke hath
---
---
dekha jo kuchh ruka mujhe to kis tapak se
gardan mein meri Dal diye aap aa ke hath
---
---
phir kyun na chaak ho jo hain zor-azmaiyan
bandhunga phir dupaTTa se us be-KHata ke hath
wherever do I go to if I, from your street depart
with both the worlds forsaken, there is no other place
kuche se tere uTThen to phir jaen hum kahan
baiThe hain yan to donon jahan se uTha ke hath
---
---
pahchana phir to kya hi nadamat hui unhen
panDit samajh ke mujh ko aur apna dikha ke hath
I do recall her offering to me the glass of wine
holding out her hand this way turning away her face
dena wo us ka saghar-e-mai yaad hai 'nizam'
munh pher kar udhar ko idhar ko baDha ke hath
Ghazal
AngDai bhi wo lene na pae uTha ke hath
Nizam Rampuri