ang ang jhalak uThta hai angon ke darpan ke beach
mansarower umDe umDe hain bharpur badan ke beach
chand angDai par angDai lete hain joban ke beach
maddham maddham dip jale hain soe soe nayan ke beach
mukhDe ke kai rup dudhiya chandni bhor sunahri dhup
raat ki kaliyan chuTki chuTki si baalon ke ban ke beach
mathura ke peDon se kulhe chikne chikne se gore
rup nirt ke jage jage chhatiyon ki thirkan ke beach
jaise hiron ka minara chamke ghor andhere mein
diwali ke dip jale hain choli aur daman ke beach
man mein basa kar murat ek an-dekhi kaamani radha ki
'ahmad' hum to kho gae brindaban ki kunj galiyan ke beach
Ghazal
Ang ang jhalak uThta hai angon ke darpan ke beach
Ahsan Ahmad Ashk