اردو हिंदी
Andoh-e-besh-o-kam na gham-e-KHair-o-shar mein hai | Shaahi Shayari
andoh-e-besh-o-kam na gham-e-KHair-o-shar mein hai

Ghazal

Andoh-e-besh-o-kam na gham-e-KHair-o-shar mein hai

Shiv Dayal Sahab

;

andoh-e-besh-o-kam na gham-e-KHair-o-shar mein hai
raaz-e-hayat wusat-e-fikr-o-nazar mein hai

wo masti-e-nazar hai usi dil ki pasdar
jo dil ba-ru-e-kar gunah-e-nazar mein hai

us ka KHayal us ka tasawwur usi ki yaad
koi nahin nazar mein wo jab se nazar mein hai

kaif aashna thi zist kabhi jis ki did se
wo chashm-e-mast aaj bhi meri nazar mein hai

kaisa tilism-e-husn hai us jalwa-gah mein
jalwa nazar mein hai kabhi parda nazar mein hai

kya shai ata-e-gham ki hai kaifiyyat ai 'sahab'
KHalwat harim-e-dil mein hai mahfil nazar mein hai