andheron se ulajhne ki koi tadbir karna hai
koi rauzan kisi diwar mein tasKHir karna hai
zara dekhun to dam kitna hai is baad-e-muKHalif mein
sar-e-dasht-e-bala ek ghar naya tamir karna hai
nikal aaya hai jo bedad rahon par dil-e-be-KHud
koi nawak-fagan aae use naKHchir karna hai
sar-e-dasht-e-junun jo be-KHudi ke phul khilte hain
unhen raushan dimaghon ke liye iksir karna hai
makan-e-la-makani ka safar mera nahin rukta
tumhaari yaad ko ab panw ki zanjir karna hai
Ghazal
Andheron se ulajhne ki koi tadbir karna hai
Zulfiqar Naqvi