andheron mein ujale kho rahe hain
nagar ke dip maddham ho rahe hain
hawa mein uD rahi hain surKH chilen
kabutar ghonslon mein so rahe hain
bahar jaanib taffun baDh raha hai
anokhi fasl dahqan bo rahe hain
ajab arman hai tamir-e-makan ka
kai sadiyon se patthar Dho rahe hain
sar-e-koh-e-tamanna kaun pahunche
purane zaKHm ab tak dho rahe hain
aTa hai shahar barudi dhuen se
saDak par chand bachche ro rahe hain
na paDne di ana par dhul 'rasiKH'
sarab-e-zar mein barson go rahe hain
Ghazal
Andheron mein ujale kho rahe hain
Rasikh Irfani