andheri shab mein charagh-e-rah-e-wafa dena
talluqat ko nazdik se sada dena
jahan khaDi hun wahan se palaT nahin sakti
abhi na mujh ko mohabbat ka wasta dena
main bebasi ka saliqa nibhaungi kab tak
baDhe jo pyas charagh-e-sada bujha dena
bujhe bujhe sabhi manzar hain aashnai ke
mere labon ko koi harf-e-muddaa dena
umid hath se daman agar chhuDane lage
to phir mujhe bhi mere shahr ka pata dena
bhaTak na jaun kahin gham ki rahguzaron mein
nigah-o-dil ko ujalon ka rasta dena
rafaqaton ko jo tanhaiyan satane lagen
udasiyon ko koi rang-e-ashna dena
agar tumhein bhi koi iKHtiyar mil jae
to phir taDapte dilon ko kahin mila dena
likhe hain ashkon se lamhat-e-zindagi 'usha'
unhen kitab-e-mohabbat mein tum saja dena
Ghazal
Andheri shab mein charagh-e-rah-e-wafa dena
Usha Bhadoriya