andheri shab hai zarurat nahin batane ki
meri taraf se ijazat hai lauT jaane ki
koi to ho jo mizaj-e-ashna-e-dilbar ho
kisi ke pas to chabi ho is KHazane ki
wo chahta to mujhe sang-dil bana deta
zyaadti mere dil par mere KHuda ne ki
main dusron ke gharon ko bacha raha hun magar
kisi ko fikr nahin mera ghar bachane ki
main apne aap se munkir hua to TuT gaya
ye dushmani mere andar ki intiha ne ki
jise harif samajh kar kiya hai qatl 'niyaz'
wo aabru tha usi be-nawa gharane ki
Ghazal
Andheri shab hai zarurat nahin batane ki
Niyaz Husain Lakhwera