andheri raat ko din ke asar mein rakkha hai
charagh hum ne teri rahguzar mein rakkha hai
ye hausla jo abhi baal-o-par mein rakkha hai
tumhaari yaad ka jugnu safar mein rakkha hai
makan mein sone ke shishe ke log hon jaise
kisi ka nur kisi ki nazar mein rakkha hai
ye chahti hun inhi daeron mein jaan de dun
kuchh itna soz hi raqs-e-bhanwar mein rakkha hai
palak jhapakte hi tahlil ho na jae kahin
abhi to KHwab sa manzar nazar mein rakkha hai
mujhe to dhup ke mausam qubul the lekin
ye saya kis ne meri dopahar mein rakkha hai
Ghazal
Andheri raat ko din ke asar mein rakkha hai
Nusrat Mehdi