andheri bastiyan raushan manare Dub jaenge
zamin roti rahi to shahr sare Dub jaenge
jhulas dengi jo sahrai hawaen reshmi sae
dhuen ke zahr mein rangin nazare Dub jaenge
abhi se kashtiyan sab sahilon ki samt ruKH moDen
ki jab tufan aaya phir ishaare Dub jaenge
baDhegi un ki lau koi agar sinche hararat se
barasti barf mein sare sharare Dub jaenge
yunhi palte rahe gar hasht-pa is jhil ki tah mein
kisi din sath par hanste shikare Dub jaenge
fareb-e-mah-o-anjum se nikal jaen to achchha hai
zara suraj ne karwaT li ye tare Dub jaenge
chaTanon par karen kanda nishani apne hone ki
sunahre kaghazon ke goshware Dub jaenge
Ghazal
Andheri bastiyan raushan manare Dub jaenge
Ali Akbar Abbas