andhere se ziyaada raushni taklif deti hai
zamane ko meri zinda-dili taklif deti hai
bahut achchha tha jab na-ashna tha husn duniya se
mujhe ab hosh-mandi aagahi taklif deti hai
wo aksar chheD dete hain mere derina zaKHmon ko
na jaane kyun unhen meri KHushi taklif deti hai
jo apne sinon mein dil ki ba-ja-e-sang rakhte hain
unhen hum ahl-e-dil ki sarKHushi taklif deti hai
ho takmil-e-hawas jis dosti ka muntaha ai dil
mujhe wo rasm-o-rah-e-ashiqi taklif deti hai
KHuda ke fazl se mujh ko sabhi kuchh mil gaya lekin
mujhe is bazm mein un ki kami taklif deti hai
'sahar' wabasta meri shairi hai un ki yaadon se
kabhi pur-kaif hoti hai kabhi taklif deti hai

Ghazal
Andhere se ziyaada raushni taklif deti hai
Sahar Mahmood