andhere din ki safarat ko aae hain ab ke
hain kitni raushaniyan ishtihaar mein shab ke
yahan to dekh liye hum ne hausle sab ke
mile na dost na dushman hi apne mansab ke
bas ek baat pe nakaamiyon ne gher liya
zaban se aae labon tak na harf matlab ke
jo lab-kushada the wo muddai bane lekin
jo dil-kushada the wo kaam aa gae sab ke
ek aah-e-KHushk hi apne nasib mein nikli
bahut hi shor sune jazba-e-laba-lab ke
judaiyan to muqaddar hain lekin ek gham-e-hijr
ajib phul se sathi bikhar gae ab ke
bhaTak raha hai dayar-e-KHirad mein kyun gham-e-dil
gharon ko lauT chuke sare ba-wafa kab ke
zamin-e-saKHt mein lafzon ke gul khilae hain
ghazal kahi to hue qail apne kartab ke
hazar us ne bhi chakkar diye magar 'baqar'
rahe na hum bhi kabhi aasman se dab ke
Ghazal
Andhere din ki safarat ko aae hain ab ke
Sajjad Baqar Rizvi