andhere DhunDne nikle khanDar kyun
KHuda jaane hue ye dar-ba-dar kyun
ye bu ujDe hue bazar ki hai
meri basti hui na-mo'tabar kyun
samaat munjamid si ho rahi hai
magar shoala-bayani par asar kyun
agar ehsas hi hairat-zada hai
to kandhe par liye phirte ho sar kyun
ye bojhal sham ka dhundla tasawwur
mere ehsas par chhaya magar kyun
mizaj-e-shahr mein tabdiliyan hain
mere tewar badalte dekh kar kyun
jahan patthar tarashe ja rahe hon
wahan KHema lagaen shishagar kyun
KHala se dekhna hai 'rind' duniya
to phir Thahrun purane chand par kyun
Ghazal
Andhere DhunDne nikle khanDar kyun
P P Srivastava Rind