andhera miTta nahin hai miTana paDta hai
bujhe charagh ko phir se jalana paDta hai
ye aur baat hai ghabra raha hai dil warna
ghamon ka bojh to sab ko uThana paDta hai
kabhi kabhi to in ashkon ki aabru ke liye
na chahte hue bhi muskurana paDta hai
ab apni baat ko kahna bahut hi mushkil hai
har ek baat ko kitna ghumana paDta hai
wagarna guftugu karti nahin ye KHamoshi
har ek sada ko hamein chup karana paDta hai
ab apne pas to hum KHud ko bhi nahin milte
hamein bhi KHud se bahut dur jaana paDta hai
ek aisa waqt bhi aata hai zindagi mein kabhi
jab apne sae se pichha chhuDana paDta hai
bas ek jhuT kabhi aaine se bola tha
ab apne aap se chehra chhupana paDta hai
hamare haal pe ab chhoD de hamein duniya
ye bar bar hamein kyun batana paDta hai
Ghazal
Andhera miTta nahin hai miTana paDta hai
Bharat Bhushan Pant