andhera mere baatin mein paDa tha
koi mujh ko pukare ja raha tha
hum apne aasmanon mein kahin the
hamare pichhe koi aa raha tha
ufuq sunsan hote ja rahe the
sukut-e-wasl ka manzar bhi kya tha
chamak kaisi badan se phuT nikli
hamare hath mein kis ka sira tha
sar-e-lams-e-badan jo lazzaten thin
KHata ke batan mein jo kaif sa tha
main sadiyon us taraf tha aur wo mujh ko
meri maujudgi mein dekhta tha
koi shab DhunDti thi mujh ko aur main
teri nindon mein ja kar so gaya tha
usi ne zulmaten phaila rakhi hain
asas-e-KHwab par jis ko rakha tha
Ghazal
Andhera mere baatin mein paDa tha
Atiiqullah