andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de
sukut aisa nahin hai jo kuchh sunai na de
jo sunna chaho to bol uTThenge andhere bhi
na sunna chaho to dil ki sada sunai na de
jo dekhna ho to aaina-KHana hai ye sukut
ho aankh band to ek naqsh bhi dikhai na de
ye ruhen is liye chehron se KHud ko Dhanpe hain
mile zamir to ilzam-e-bewafai na de
kuchh aaise log bhi tanha hujum mein hain chhupe
ki zindagi unhen pahchan kar duhai na de
hun apne-ap se bhi ajnabi zamane ke sath
ab itni saKHt saza dil ki aashnai na de
sabhi ke zehn hain maqruz kya qadim o jadid
KHud apna naqd-e-dil-o-jaan kahin dikhai na de
bahut hai fursat-e-diwangi ki hasrat bhi
'wahid' waqt gar izn-e-ghazal-sarai na de
Ghazal
Andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de
Waheed Akhtar