andhe badan mein ye sahar-asar kaun hai
tu bhi nahin to mujh mein sharar-bar kaun hai
wo kaun hai jo jagta hai meri nind mein
asrar main hun sahab-e-asrar kaun hai
kis ne wafa ke nam pe dhoka diya mujhe
kis se kahun ki mera gunahgar kaun hai
sab ne gale laga ke gale se juda kiya
pahchan hi nahin ki riya-kar kaun hai
phir yun hua ki mujh pe hi diwar gir paDi
lekin na khul saka pas-e-diwar kaun hai
meri sada mein kis ki sadaen hain maujzan
naddi hun main agar to mere par kaun hai
mahbus sab hain maslahaton ke hisar mein
lekin KHud apni dhun ka giraftar kaun hai
har aankh mein 'najib' hain sapne base hue
is jagte dayar mein bedar kaun hai
Ghazal
Andhe badan mein ye sahar-asar kaun hai
Najeeb Ahmad