andhe adam wajud ke girdab se nikal
ye zindagi bhi KHwab hai tu KHwab se nikal
suraj se apne bichhDi hui ek kiran hai tu
tera nasib jism ke barfab se nikal
tu miTTi pani aag hawa mein hai qaid kyun
hone ka de jawaz tab-o-tab se nikal
phulon mein chand taron mein suraj mein us ko dekh
in pattharon ke mimbar o mehrab se nikal
murjha na jae dekh kahin ruh ka gulab
fani jahan ki wadi-e-shadab se nikal
ban ke jazira ubhrega kirdar KHud tera
KHush-rang KHwahishon ke tu sailab se nikal
kahti hain mujh se soch samundar ki wusaten
'arif' tu apni zat ke talab se nikal
Ghazal
Andhe adam wajud ke girdab se nikal
Arif Shafiq