اردو हिंदी
Andeshon ka zahr piya hai | Shaahi Shayari
andeshon ka zahr piya hai

Ghazal

Andeshon ka zahr piya hai

Intikhab Syed

;

andeshon ka zahr piya hai
mushkil se jina sikha hai

waqt ne aisa gham baKHsha hai
sahraon mein ji lagta hai

daman daman KHun ke dhabbe
aaKHir kis ka qatl hua hai

aaj club ke darwaze par
chaprasi KHamosh khaDa hai

diwanon ki baat na mano
lekin sun lene mein kya hai

ab to KHud apne chehre par
ghairon ka dhoka hota hai

dhire dhire jaise koi
mere wajud ko chaT raha hai