andar ki duniyaen mila ke ek nagar ho jaen
ya phir aao mil kar TuTen aur khanDar ho jaen
ek nam paDhen yun donon aur dua yun mangen
ya sajde se sar na uThen ya lafz asar ho jaen
KHair aur shar ki aamezish aur aawezish se nikhren
bhul aur tauba karte sare sans basar ho jaen
hum azali aawara jin ka ghar hi nahin hai koi
lekin jin raston se guzren raste ghar ho jaen
ek gunah jo fani kar ke chhoD gaya dharti par
wahi gunah dobara kar len aur amar ho jaen
sufi sadhu ban kar teri khoj mein aise niklen
KHud hi apna rasta manzil aur safar ho jaen
rizq ki tangi ishq ka rog aur log munafiq sare
aao aise shahr se 'haidar' shahr-badar ho jaen
Ghazal
Andar ki duniyaen mila ke ek nagar ho jaen
Haidar Qureshi