andar ka zahr chum liya dhul ke aa gae
kitne sharif log the sab khul ke aa gae
suraj se jang jitne nikle the bewaquf
sare sipahi mom ke the ghul ke aa gae
masjid mein dur dur koi dusra na tha
hum aaj apne aap se mil-jul ke aa gae
nindon se jang hoti rahegi tamam umr
aankhon mein band KHwab agar khul ke aa gae
suraj ne apni shakl bhi dekhi thi pahli bar
aaine ko maze bhi taqabul ke aa gae
anjaane sae phirne lage hain idhar udhar
mausam hamare shahr mein kabul ke aa gae
Ghazal
Andar ka zahr chum liya dhul ke aa gae
Rahat Indori