andaz kuchh aur naz-o-ada aur hi kuchh hai
jo baat hai wo nam-e-KHuda aur hi kuchh hai
na barq na KHurshid na shoala na bhabhuka
kyun sahibo ye husn hai ya aur hi kuchh hai
billor ki chamken hain na almas ki jhamken
us gore se sine ki safa aur hi kuchh hai
pichhe ko nazar ki to wo guddi hai qayamat
aage ko jo dekha to gila aur hi kuchh hai
sine pe kaha main ne ye do seb hain kya hain
sharma ke ye chupke se kaha aur hi kuchh hai
tum baaten hamein kahte ho aur sunte hain hum chup
apni bhi KHamoshi mein sada aur hi kuchh hai
hain aap ki baaten to shakar-rez par ai jaan
is gunge ke guD mein bhi maza aur hi kuchh hai
puchhi jo dawa hum ne tabibon se to bole
bimari nahin hai ye bala aur hi kuchh hai
unnab na KHutmi na banafsha na KHiyarin
is Dhab ke marizon ki dawa aur hi kuchh hai
hum ko to 'nazir' un se shikayat hai jafa ki
aur un ka jo suniye to gila aur hi kuchh hai
Ghazal
Andaz kuchh aur naz-o-ada aur hi kuchh hai
Nazeer Akbarabadi